Neamatein Baant Ta Jis Simt Woh Zeeshaan Gaya


shair

Naat By Sayyiduna A’la Hadrat Imam Ahmed Raza Khan Al-Qaderi (Rahmatullahi Alaih)

Neamatein Baant Ta Jis Simt Woh Zeeshaan Gaya
Saath Hi Munshiaey Rehmat Ka Qalam Daan Gaya

Le Khabar Jald Ke Ghairon Ki Taraf Dahyan Gaya
Mere Maula Mere Aqa Tere Qurbaan Gaya

Aah Woh Aankh Ke Nakaame Tamanna Hi Rahi
Hai Woh Dil Jo Tere Dar Se Pur Arman Gaya

Dil He Woh Dil Jo Teri Yaad Se Mamoor Raha
Sar He Woh Sar Jo Tere Qadmon Pe Qurbaan Gaya

Unhein Jana Unhen Mana Na Rakhha Ghair Se Kaam
Lillah Hil Hamd Mein Duniya Se Musalman Gaya

Aur Tum Par Mere Aaqa Ki Inayat Na Sahi
Najdiyo Kalmah Parhane Ka Bhi Ehsaan Gaya

Aaj Le Unki Panah Aaj Madad Maang Unse
Phir Na Maanege Qayamat Mein Agar Maan Gaya

Jaano Dil Hosho Khirad Sab To Madine Pahonche
Tum Nahin Chalte Raza Sara To Samaan Gaya